Agnipath ka arth hai kathinaaeeyon se bharaa huaa maarg .yah ek aisaa hee kahaanee sangrah hai jiske paatron ko jeevan men ghor sangharsh aur kathinaaiyon kaa saamnaa karnaa padaa. is kahaanee sangrah men ek saamaany sainik se lekar sainy adhikaariyon ke sanghjarsh kee kahaanee hai .waheen doosree or aam yuwak aur vywtiyon kee bhee kahaanee hai jinhone apnee mehnat se kismat badal dee aur samaaj kee tarakkee men mahatwpoorn yogdaan diyaa . har ek kahaanee apne aap men anokhee hai . har ek paatr apne laxya ke liye jee jaan se prayatn kartaa hai .uskee jaddojahad ,uskee jijeevishaa, uske sangharsh bhare raaste aur unse joojhne kee uddam ichchhaa kisee ke liye bhee prernaasrot ban saktee hai .udaaharan ke liye ismen ek aise yuwaa IPS kee bhee kahaanee shaamil hai jo nouween aur dasween kee pareexaa triteeya shrenee se utteern kee, 12 vween kee pareexaa men fel huaa, uskee premikaa ne use chhod diyaa, usne ek chapraasee kee noukree kee, auto rikshaw chalaayaa, aajeevikaa ke liye kutte ghumaane kaa bhee kaam kiyaa par houslaa naheen chhodaa uar antatah ek IPS adhikaaree ban gayaa .