Aaj jinhe hum muni Bhartrahari ke naam se jaante hain wo ek samay par Ujjain ke raja Bhartrahari ke naam se prasiddh the. Yuva avastha me veh ek vilakshan raajnitigya the lekin un dino unki kaamukta bhi prabal thi, veh apni patni va anya striyon ke moh se grast the. Fir ek din unke saath kuch aesa hua ki unki duniya hi palat gai, stree moh ko bhool veh Guru Gorakhnaath ke sabse vidwaan shishy ke roop me nikhar kar aae. Unki rachnaao ko padhenge to paenge ki veh shuruati dino se hi ek behetareen kavi the. Shringaar Shatkam, Niti Shatkam aur Vairagya Shatkam unki pramukh rachnaao me gine jaate hain. Raja Bhartrahari se Muni Bhartrahari banne tak ki yaatra aur unki rachnaaon me chhipi seekh ko samjhein Acharya Prashant ke saath. Is pustak me Acharya Prashant humaare dainik jeevan se jude prashno ko lekar Muni Bhartrahari dwaara dikhaae maarg ko aur bhi saral va upyogi bana dete hain.