Maya ke mohpas men main itnaa bandh chukaa tha ki babouji ki baaten mujhe bemaanee lag rahee thee . Rahda ki udartaa aur maa ki mamtaa ko main bhaawaaves men kahee gaee baaten maan rahaa thaa vaheen doosri or meraa seenaa apmaan ki jwaalaa men dhadhak rahaa thaa . Baaboojee ne meri patnee aur bachchon ke saamne itnaa apmaanit kiyaa thaa ki ab main ek pal bhee us ghar men rahnaa naheen chaahtaa thaa. Ghar ke sabhee log mujhe dushman najar aa rahe the. maine apnaa bachaa-khuchaa saamaan batoraa aur taiksee men laad kar Maya ke paas hameshaa ke liye aa gayaa . Mohabbat kee duniyaa badee beraham hai . Yahaan manjil kathin yaatnaaon se gujarkar miltee hai. Mohabbat kab kisi ke liye kismat kaa darwaajaa khol de yaa kab kisee ko barbaad kar de kah paanaa mushkil hai .ise samajh paanaa bhee kathin hai, Bas samay ke saath hee seekh miltee hai . Jindgee kee kitaab men anubhav ke panne judte rahte hain . Kisee mashhoor shaayar ne kahaa hai, ye ishk anheen aashaan, ek aag kaa dariyaa hai, aur doob ke jaanaa hai