Nari-shakti bharat ki un mahaan naariyon kee kahaanee hai jinhe apne jeevan men ghor vipattiyon kaa saamnaa karnaa padaa. Jeevan ke path men wo har kadam par sangharsh kartee raheen .vipreet paristhitiyon ke baavjood bhee unhone apnaa housalaa kam naheen hote diyaa . pariwaar se, samaaj se, yahaan tak ki prakriti se unhe ghor upexaa aur prataadnaa sahne ko milee par wo apne nirdhaarit laxy se vichlit naheen hueen. unhe apne aap ko saabit karne ke liye apne praanon tak kaa utsarg bhee karnaa padaa par ve peechhe naheen hateen . wo apne junoon ko paagalpan kee had tak le gaeen aur antatah apne laxy ko haasil kar liyaa. unkee yahee uddaam ichchhaa aur satat prayaas ne unhe itanee unchaaee tak pahunchaayaa kee wo aaj desh aur duniyaa ke insaanon ke liye prernaasrot ban gaeen . padhiye in mahaan naariyon kee sangharsh gaathaa -nari-shakti