Nari asmita bhaarat kee un naariyon kee kahaanee hai jinhe apne jeevan men ghor vipattiyon kaa saamnaa karnaa padaa. Jeevan ke path men wo har kadam par sangharsh kartee raheen . vipreet paristhitiyon ke baavjood bhee unhone apnaa houslaa kam naheen hone diyaa. wo apne jeevan aur asmitaa ke liye jaddojahad kartee raheen. pariwaar se, samaaj se, unhe ghor upekshaa aur prataadnaa sahne ko milee majboor hokar unhe apraadh kee badnaam jindgee ko apnaanaa padaa. kuchh to us daldal se nikalkar samaaj men apnee asmitaa kaayam karlene men safal raheen par r kuchh aaj bhee sangharsh kar rahee hain.yah insaanee jajbe kee prernaadaayak kahaanee hai.