Sangini ek mahila sainik adhikari jaya ki prem aur sangharsh ki kahani hai. Uska jeevan khushhal aur aanandmay hota hai tabhi achanak usaka yuwa pati kaiptan Ajay singh Rana kashmir men pakistani aanankwadiyon se ladte hue shaheed ho jaataa hai. Is dardnaak ghatna ke baavjood bhi J aya bharteey sena men adhikaaree banane kaa faisalaa letee hai aur senaa men ek adhikaaree ke roop me niyukt hotee hai . pariwaar ke sabhee sadasy chaahte hain ki vah punah vivaah kar le par wah shaadee se inikaar kar detee hai. Use sanyukt raashtr shaanti mishan men kaary karne kaa maukaa miltaa hai . usee darmiyaan uskee mulaakaat ek bharteey sainy adhikaaree Mejar Chanadran Nair se hotee hai aur uske andar naaree sulabh prem bhaavanaa jaag jaatee hai . Mejar Chandran Nair Jayaa se shaadee karnaa chaahte hain par unkee maa ko yah sweekar naheen hai. fir shuroo hotaa hai sandharsh aapsee riston kaa. kyaa Mejar Chandran Nair maan kee ichchhaa ke virudh Jayaa ko apnee patnee sweekaar kar paaenge? kyaa Jayaa unkee maan kaa dil jeet paaegee? in sawaalon kaa javaab paathkon ko sangini men padhne ko milegaa.